Friday, January 5, 2007

College ke Din

Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,
Bhale mujhse lelo who US ka Visa,
Magar mujhko lauta do college ka canteen,
Who TeeKha Samosaa, Who thanda saaa paani,
Who College ki sabse - purani nishaanee,
Who chai vaalaa jisko - saare kehte the...jaani,
Who jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,
Who chup-kese journal - mein Jo bheji thi chitthi,
Who padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,
Who chehre ki laali, who aankhon kaa gussaa
Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,
Who project ki Khatir - tha Dar Dar bhataknaa ,
Who lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,
Who sir ko chidana, aeroplane udaanaa,
Who submission ki raton - ko jagna jagaanaa,
Who vivas ke kisse, who pracs ki kahani....
Who teekha samosa, who thanda saaa paani.
Who dena Bimaari - ka har time bahana,
Who doosron ka assignment - ko apnaa banana,
Who seminar ke din - pairon ka chat-patanaa,
Who workshop mein din bhar - pasinaa bahanaa,
Who slogans banana - aur Gym me rakhadna,
Phir Exam ke din ko รข?" tha bechain hona,
Who teekha samosa, who thanda s AAA paani..
College ki thi - who lambi is raatein,

Who doston se tapre pe - pyaari is Baatein;
Who gathering ke din ka Jo ladnaa Jhagadnaa;
Who kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa;
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi

Who TeeKha Samosaa, Who thanda saaa paani,
Who Teekha Samosa, Who thanda saaa paani
Who Rahul ki masti, Who college ki yaaden,
Who baatein sama, who guzara jamana

Who teekha samosa, Who thanda saaa paani..
Who teekha samosa, Who thanda saaa paani

1 comment:

Dhananjay Murari said...

Nice to see ur blogger. That too with good parody college ke din .